Saad Salman Soch Samajh K Vote Do Lyrics
Soch Samajh K Vote Do by Saad Salman
[Verse 1]
Phir se aaye wo Election k din,
Mulki Halaat par Reflection k din,
Khuda ne humein dia phir se ik Moqa,
Aaye pichhli ghaltion ki Correction k din,
Lekin, Is pe hamara kahan hai dheyan,
Apne masaail se hum khud hi anjaan,
Abhi Election Campaign mein masroof hein hum,
Tabhi sajaa daali gallian aur makaan saaray,
Manaein rang ralian, lagaein hum naaray,
Abhi jin ki jeet pe naachein ge hum,
Baad mein unhi k lye aaein gi gaalian labon pe humaray,
Bechaaray hum, Tab kuch kar na sakein ge pachhtaein ge hum,
Besakooni se Chillaein ge hum,
Aese zaalimo ko hum kyun chuntay hein,
Aakhir kab tak laashein uthaein ge hum.
[Chorus]
Abhi Bhi Waqt Hai, Khud Ko Sudhaarnay Ka,
Abhi Bhi Waqt Hai, Is Mulk Ko Sanwaarnay Ka,
Khudaara Is Zameen Ko Ab Tum Aur Koi Na Chot Do,
Ab Ki Baar Bus Tum Soch Samajh K Vote Do...!
[Verse 2]
Yeh Hukmaran jo hamaray saron pe sawaar hein,
Yeh Khud Gharzi ka ik shahkaar hein,
Aakhrat se hein ye sab bekhabar,
Sirf dunya k hi talab-gaar hein,
Apne kiye pe nahin jab ye sharamsaar,
In k sudharnay ka kyun karein phir intezar,
Shaitan bhi inko apna baap maanay,
Kahay 'Dad! You are my superstar”
HOSHYAAAAAR! Ab ki baar, ban'na hai hum ne samajhdaar,
Election mein reh gaye din chaar, to karna hai inka inkaar,
Aakhir kyun hum inki jhooti baaton ko suntay hein,
Kyun tarha tarha k Khwaab buntay hein,
Baad mein ronay ka kya faida,
Wo hum hi to hein jo pehle in jeson ko chuntay hein.

[Verse 3]
Lekin apne aap pe bhi humein karna hoga ghor,
Jab hum se ho zayadti to machaatey hein shor hum,
Kisi ka haq marnay ka jab milta hai moqa,
To hum bhi chlaatey hein jahan hamara chalta hai zor,
Chhotay chor ko lagay buri baray chor ki chori,
Par chori to chori hoti hai zyada ho ya thori, I am sorry!
Par vote dene ki hoti hai jab bhi baat,
To hum dekhtay hein candidate ka firqa ya zaat,
Ya kis se humein kitna nafa milay ga,
Kon dega hamara ghlat kamon mein saath,
Kabhi biryani ki plate, kabhi hazaar ka note,
Le k biktay hein hum, apna badaltay hein vote,
Jhoot nai, Sach hein baatein ye saari,
Hum ne maari hai khud apne paon pe kulhaari,
Jab tak badla na apna yeh mindset,
Tab tak badlay gi nahin halat hamari.

[Outro]
Abhi Bhi Waqt Hai....
Abhi Bhi Waqt Hai, Waqt Hai, Waqt Hai
Abhi Bhi Waqt Hai, Waqt Hai, Waqt Hai
SOCH SAMAJH K VOTE DO (x8)